Mah Talat Zahidi

uski aankhon mein ek sawal sa tha

Mah Talat Zahidi

Multan, Punjab, Pakistan

1953
us kī āñkhoñ meñ ik savāl sā thā
mere dil meñ koī malāl sā thā
dhul gayā āñsuoñ meñ saarā vajūd
ishq meñ ye ajab kamāl sā thā
jism kī Daal par jhukā thā ḳhvāb
ruuh sarshār dil nihāl sā thā
guftugū kar rahī thī ḳhāmoshī
hijr kī raah meñ visāl sā thā
ḳhvāhisheñ har ghaḌī uruuj pe thiiñ
vaqt ko har ghaḌī zavāl sā thā
maiñ bhī thī āshnā rivāyat se
us ko bhī zabt meñ kamāl sā thā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb thiiñ mulāqāteñ
dard-e-dil vaj.h-e-indimāl sā thā
aa.ina ban gayā hai mere liye
ek chehra ki be-misāl sā thā
Top Urdushayar.com