vahshat bharī rātoñ ko kināra nahīñ miltā
dil Duub chalā sub.h kā taarā nahīñ miltā
milte haiñ bahut yuuñ to jo āġhosh-kushā ho
dil ke liye vo dard kā dhārā nahīñ miltā
is ahd kī tasvīr meñ apnā bhī lahū hai
DhūñDe se magar naam hamārā nahīñ miltā
qudrat kā karam ho to alag baat hai varna
mushkil meñ to apnoñ kā sahārā nahīñ miltā
sadiyāñ haiñ faqat ek hī lamhe kī kahānī
lamha jise kho de vo dobāra nahīñ miltā