Mah Talat Zahidi

qabr pe phul khila aahista

Mah Talat Zahidi

Multan, Punjab, Pakistan

1953
qabr pe phuul khilā āhista
zaḳham se ḳhuun bahā āhista
dhyān ke ziine pe yādoñ ne phir
dekhiye paañv dharā āhista
kahne ko vaqt guzartā hī na thā
aur jag biit gayā āhista
kaaTe se raat nahīñ kaTtī thī
phir bhī din aa hī gayā āhista
aañkh meñ chehra basā rahtā hai
is liye ashk girā āhista
maiñ jo muddat meñ hañsī dil ne kahā
kyā tujhe sabr milā āhista
ro ke maiñ ne ye kahā duniyā hai
ġham ko sahnā hī paḌā āhista
Top Urdushayar.com