Rehana Roohi

nazzara-e-jamal ne sone nahin diya

Rehana Roohi

nazzāra-e-jamāl ne sone nahīñ diyā
shab bhar tire ḳhayāl ne sone nahīñ diyā
pahle naved-e-vasl mirī niind le uḌī
phir nashsha-e-visāl ne sone nahīñ diyā
jis roz us ke jhuuT kī sachchā.iyāñ khulīñ
suqrāt kī misāl ne sone nahīñ diyā
kis ḳhūb-sūratī se judā kar diyā hameñ
dushman ke is kamāl ne sone nahīñ diyā
jo bhiik māñgte hue bachche ke paas thā
us kāsa-e-savāl ne sone nahīñ diyā
shab bhar maiñ jāgtī rahī jis ranj ke sabab
din ko bhī us malāl ne sone nahīñ diyā
kitnī thakan safar kī thī par vāpsī kī shaam
is shauq-e-arz-e-hāl ne sone nahīñ diyā
'rūhī' maiñ ḳhvāb-e-ishq se jaagī to us ke baad
kitne hī māh-o-sāl ne sone nahīñ diyā
Top Urdushayar.com