dil ko rah rah ke ye andeshe Darāne lag jaa.eñ
vāpsī meñ use mumkin hai zamāne lag jaa.eñ
so nahīñ paa.eñ to sone kī duā.eñ māñgeñ
niiñd aane lage to ḳhud ko jagāne lag jaa.eñ
us ko DhūñDeñ use ik baat batāne ke liye
jab vo mil jaa.e to vo baat chhupāne lag jaa.eñ
har december isī vahshat meñ guzārā ki kahīñ
phir se āñkhoñ meñ tire ḳhvāb na aane lag jaa.eñ
itnī tāḳhīr se mat mil ki hameñ sabr aa jaa.e
aur phir ham bhī nazar tujh se churāne lag jaa.eñ
jiit jā.eñgī havā.eñ ye ḳhabar hote hue
tez āñdhī meñ charāġhoñ ko jalāne lag jaa.eñ
tum mire shahr meñ aa.e to mujhe aisā lagā
juuñ tahī-dāmanoñ ke haath ḳhazāne lag jaa.eñ