Rehana Roohi

ye soch kar na phir kabhi tujhko pukara dost

Rehana Roohi

ye soch kar na phir kabhī tujh ko pukārā dost
dushman kā dost ho nahīñ saktā hamārā dost
ham ne kabhī rakhā hī nahīñ hai hisāb-e-ishq
tū hī hamārā naf.a hai tū hī ḳhasāra dost
āñkhoñ kā ik hujūm lagā hai magar ye dil
bhūlā na aaj tak tirā pahlā ishāra dost
sab ko hai apnī apnī ġharaz se ġharaz yahāñ
koī hamārā dost na koī tumhārā dost
jo kuchh azal se hotā rahā hai vahī huā
ham ko bhī dostoñ kī adāvat ne maarā dost
chāhe tū e'tirāf kare yā nahīñ kare
'rūhī' baġhair hai nahīñ terā guzārā dost
Top Urdushayar.com