junūn-e-ishq meñ sad-chāk honā paḌtā hai
is intihā ke liye ḳhaak honā paḌtā hai
kisī se jab kabhī ham zindagī badalte haiñ
to phir badan kī bhī poshāk honā paḌtā hai
zamīñ pe ḳhāk-nashīnī kā vasf rakhte hue
kabhī kabhī hameñ aflāk honā paḌtā hai
agar maiñ Duubī use saath le ke Dūbūñgī
mohabbatoñ meñ bhī saffāk honā paḌtā hai
havā ke saath mohabbat ke dhūp-sahrā meñ
guloñ ko bhī ḳhas-o-ḳhāshāk honā paḌtā hai
bisāt-e-vaqt kī chāleñ samajh sakeñ 'rūhī'
kam-az-kam itnā to chālāk honā paḌtā hai