Rehana Roohi

wo muntazir hain hamare to hum kisi ke hain

Rehana Roohi

vo muntazir haiñ hamāre to ham kisī ke haiñ
alāmatoñ meñ ye āsār ḳhud-kushī ke haiñ
pas-e-murād bahut ḳhvāb haiñ nigāhoñ meñ
samundaroñ meñ jazīre ye raushnī ke haiñ
maiñ apne aap ko dushman ke sarf meñ de duuñ
ye mashvare to mirī jaan vāpsī ke haiñ
hujūm-e-aks hai aur ā.īna-sifat huuñ maiñ
so mere jitne bhī dukh haiñ vo āgahī ke haiñ
kisī qabā ko mayassar hai fāḳhera honā
kisī libās meñ paivand muflisī ke haiñ
maiñ us se dukh ke bhī us ko duā.eñ detī huuñ
ajiib rañg mohabbat meñ dushmanī ke haiñ
maiñ jab bhī chāhūñ jabhī us se guftugū kar luuñ
mirī ġhazal pe ye ehsān shā.irī ke haiñ
jo shahr-e-sañg meñ shīsha-mizāj haiñ 'rūhī'
vo zimmedār ḳhud apnī shikastagī ke haiñ
Top Urdushayar.com