niind āñkhoñ meñ musalsal nahīñ hone detā
vo mirā ḳhvāb mukammal nahīñ hone detā
aañkh ke shīsh-mahal se vo kisī bhī lamhe
apnī tasvīr ko ojhal nahīñ hone detā
rābta bhī nahīñ rakhtā hai sar-e-vasl koī
aur ta.alluq bhī mo.attal nahīñ hone detā
vo jo ik shahr hai paanī ke kināre ābād
apne atrāf meñ daldal nahīñ hone detā
jab ki taqdīr aTal hai to duā kyā ma.anī
zehn is falsafe ko hal nahīñ hone detā
dil to kahtā hai use lauT ke aanā hai yahīñ
ye dilāsā mujhe pāgal nahīñ hone detā
qarya-e-jāñ pe kabhī TuuT ke barseñ 'rūhī'
zarf ashkoñ ko vo bādal nahīñ hone detā