terī galī ko chhoḌ ke jaanā to hai nahīñ
duniyā meñ koī aur Thikānā to hai nahīñ
jī chāhtā hai kaash vo mil jaa.e raah meñ
hālāñki mojazoñ kā zamānā to hai nahīñ
is ghar meñ us ke naam kā kamra hai aaj bhī
jis ko kabhī bhī lauT ke aanā to hai nahīñ
shāyad vo rahm khā ke mirī jaan baḳhsh de
qātil hai koī dost purānā to hai nahīñ
ashkoñ ko 'rūhī' ḳharch karo dekh-bhāl ke
āñkhoñ ke paas koī ḳhazānā to hai nahīñ