masrūfiyat usī kī hai fursat usī kī hai
is sarzamīn-e-dil pe hukūmat usī kī hai
miltā hai vo bhī tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
maiñ kyā karūñ ki mujh ko bhī aadat usī kī hai
jo umr us ke saath guzārī usī kī thī
baaqī jo bach ga.ī hai masāfat usī kī hai
hotā hai har kisī pe usī kā gumāñ mujhe
lagtā hai har kisī meñ shabāhat usī kī hai
likkhūñ to us ke ishq ko likhnā hai shā.irī
sochūñ to ye suḳhan bhī ināyat usī kī hai
dar-e-āstāñ koī ho ba-zāhir sar-e-sujūd
lekin pas-e-sujūd ibādat usī kī hai
vo jis ke haq meñ jhūTī gavāhī bhī maiñ ne dī
'rūhī' mire ḳhilāf shahādat usī kī hai