jo sahīfoñ meñ likhī hai vo qayāmat ho jaa.e
gar mohabbat dil-e-insāñ se bhī ruḳhsat ho jaa.e
tū zamīnoñ pe utar kar jo guzāre ik din
āsmānoñ ke ḳhudā tujh ko bhī hairat ho jaa.e
kahīñ aisā na ho ki tanhā yūñhī rahte rahte
rafta rafta mujhe tanhā.ī kī aadat ho jaa.e
kuchh bashar aise bhī hote haiñ ki jin se mil kar
devtāoñ kī tarah un se aqīdat ho jaa.e
bad-duā us ne mujhe dī hai ki 'rūhī' tujh ko
apne jaise kisī zālim se mohabbat ho jaa.e