kirdār hī se zīnat-e-aflāk ho ga.e
kirdār gir gayā ḳhas-o-ḳhāshāk ho ga.e
ham jaise sāda-lauh ko duniyā ke haath se
aisī sazā milī hai ki chālāk ho ga.e
shāyad bahār aa ga.ī mauj-e-junūñ liye
dāman jo sil ga.e the vo phir chaak ho ga.e
kal tak davā-e-dard the kuchh log shahr meñ
aaj eqtidār kyā milā zahhāk ho ga.e
qismat kā thā mazāq ki ik husn-e-ittifāq
aa.ī hamārī yaad jab ham ḳhaak ho ga.e
un kī nazar ne 'tāhira' aisā asar kiyā
jo darmiyāñ hisāb the sab paak ho ga.e