agar na dard se is dil ko āshnā karte
ġham-e-hayāt kā kis tarah tajziyā karte
ḳhudā-na-ḳhvāsta kashtī jo Dūbne lagtī
sivā ḳhudā ke bhalā kyā ye nāḳhudā karte
ajab nahīñ thā ki aa jaatā hosh meñ bīmār
qarīb aa ke jo dāman se vo havā karte
kaTī tasavvur-e-hūrān-e-ḳhuld meñ jin kī
hamāre un ke bhalā kyā vo tasfiya karte
ham aise riñd pas-e-marg bhī vahāñ jaate
na piinā jurm ho hukaman jahāñ piyā karte
saḳhī ke sāmne phaile hue haiñ jin ke haath
ham aise logoñ se kyā arz-e-mudda.ā karte
ye dard-e-dil to hai is zindagī kā mutarādif
maraz agar koī hotā to kuchh davā karte
na hote dil se jo majbūr kar ke tark-e-vafā
use bhī ham zarā taḌpā ke tajraba karte
tunak-mizājī-e-ḳhūbāñ kā gar patā hotā
manāte phir unheñ pahle to ham ḳhafā karte
ga.e haiñ dair-o-haram ho ke lā-makāñ kī taraf
qayām rahrav-e-manzil yuuñ jā-ba-jā karte
uThāyā maslahatan ham ne ḳhuun kā da.avā
kisī kī aañkh sar-e-hashr nīchī kyā karte
na pās-e-laġhzish-e-ādam agar hameñ hotā
ilaaj terā bhī ai dev-e-ishtihā karte
na hotī apne parā.e kī phir hameñ tam.īz
daġhā na mil ke agar yaar āshnā karte
niyāz-o-nāz na yuuñ hote lāzim-o-malzūm
na yuuñ kisī ke ishāroñ pe ham chalā karte
darūn-e-dil kī sadā hai magar ġhazal 'māhir'
ki sher sher pe sāme.a haiñ vāh-vā karte