Mahir Bilgrami

masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai

Mahir Bilgrami

Hardoi, Uttar pradesh, India

1922
mastī-e-do-ālam ik markaz pe simaT aa.ī
so kar vo uThā kuchh yuuñ letā huā añgḌā.ī
pur-shauq nazar merī kuchh dekh ke lalchā.ī
kuchh us ke ishāroñ se vo hausla-afzā.ī
yak-laḳht hue ruḳhsat sab sabr-o-shakebā.ī
taḌpā ga.ī jab aa.ī us samt se purvā.ī
kyā us kā asar us par majma.a ho ki tanhā.ī
dīvāna to dīvāna saudā.ī to saudā.ī
parvāna hai dīvāna lau sham.a kī tharrā.ī
kyā rañg-e-vafā laa.ī ik pal kī shanāsā.ī
farhād gahe majnūñ ban kar yahāñ jab aa.e
rūdād-e-junūñ ham ne har martaba dohrā.ī
merī hī badaulat vo mash.hūr-e-do-ālam haiñ
rusvā.ī-e-ulfat ye un ke baḌe kaam aa.ī
pursān-e-alam hote rasman hī kabhī sāhab
zahmat na ga.ī itnī bhī aap se farmā.ī
ai bād-e-sabā jā kar un se tū hī ye kah de
dīdār kā ḳhvāhāñ huuñ milne kā tamannā.ī
maiñ chup huuñ magar kahiye kyā haal hai ye āḳhir
māthe pe pasīnā hai āvāz hai bharā.ī
bīmār-e-mohabbat kā bas ab hai ḳhudā-hāfiz
kaam aa.ī masīhā kī kuchh bhī na masīhā.ī
kyā vo bhī zamāna thā me.arāj-e-mohabbat kā
din-rāt dar-e-jānāñ par nāsiya-farsā.ī
chāhe jise de zillat chāhe jise de izzat
raa.ī ko kare parbat parbat ko kare raa.ī
bas yūñhī samjhe ab hāl-e-dil-e-afsurda
chiñgārī dahaktī ik jis tarah ho kajlā.ī
bāzār-e-nigārāñ kā manzar vo are tauba
sāñche meñ Dhalī har shai ik paikar-e-rānā.ī
gardūñ pe mah-e-nau phir dikhlā.ī diyā 'māhir'
phir īd-e-mubārak kī har-sū se sadā aa.ī
Top Urdushayar.com