pyaar kā kārobār kartā huuñ
sab ko duniyā meñ pyaar kartā huuñ
ḳhud pe maiñ e'tibār kartā huuñ
pyaar kartā thā pyaar kartā huuñ
aah be-iḳhtiyār kartā huuñ
yaad jab us kā pyaar kartā huuñ
mujh ko nafrat se saḳht nafrat hai
pyaar ko dil se pyaar kartā huuñ
maut kā intizār kyā ma.anī
zindagānī se pyaar kartā huuñ
sabza-o-ḳhār-o-gul sabhī haiñ aziiz
saare gulshan ko pyaar kartā huuñ
dost kar letā huuñ adū ko bhī
dushmanoñ ko bhī pyaar kartā huuñ
mujh ko kyā ho kisī kā kuchh maslak
maiñ shi.ār apnā pyaar kartā huuñ
mujh ko sañgīñ butoñ se ulfat hai
pattharoñ ko maiñ pyaar kartā huuñ
bach ke chalnā sikhāyā kāñToñ ne
is meñ maiñ un ko pyaar kartā huuñ
umr dukh dard meñ kaTī apnī
is liye ġham se pyaar kartā huuñ
luuT le dil jo aañkh malte hī
aise rahzan ko pyaar kartā huuñ
un ko aatā hai jis qadar ġhussa
utnā hī aur pyaar kartā huuñ
mujh meñ rach bas gayā hai pyaar aisā
sab ko duniyā meñ pyaar kartā huuñ
roz-e-avval se aaj tak 'māhir'
us ko nādīda pyaar kartā huuñ