hosh manzil kho ke manzil kā patā paate haiñ log
tark-e-lazzat meñ to kuchh lazzat sivā paate haiñ log
dard ke māroñ ko hī dard-āshnā paate haiñ log
be-vafāoñ meñ kahāñ bū-e-vafā paate haiñ log
nutq qāsir hai bayāñ se vo mazā paate haiñ log
mujh se pūchho ishq meñ gum ho ke kyā paate haiñ log
ba.ad istiġhrāq haath aa.ī hai bas matlab kī baat
Duub kar gahre meñ durr-e-be-bahā paate haiñ log
karte apne se baḌoñ kā haiñ jo dil se ehtirām
rahte haiñ ḳhush yuuñ buzurgoñ kī duā paate haiñ log
manzil-e-dār-o-rasan ho yā salīb-e-sarfarāz
apne hī naqsh-e-kaf-e-pā jā-ba-jā paate haiñ log
bhuul kar ḳhud ko ḳhudā kī yaad meñ hote haiñ mahv
nāḳhudā ko bhī bhañvar meñ bā-ḳhudā paate haiñ log
be-ḳhudī meñ rāz-e-dil kah Dālte haiñ be-jhijak
piine vāloñ ko nashe meñ pārsā paate haiñ log
chhāñv kī dhuup aur bārish meñ hai khultī ahmiyat
sar chhupāte haiñ jahāñ saaya zarā paate haiñ log
ḳhud meñ aatī haiñ nazar hirs-o-havas kī bastiyāñ
dīda-e-bīnā kabhī jab apne vā paate haiñ log
lutf-e-ḳhās us kā samajh kar dil se karte haiñ qubūl
jo bhī dast-e-nāz se achchhā burā paate haiñ log
lagtā ḳhālī zehn shaitāñ kī dukāñ ho jis tarah
ghar meñ ghuste haiñ jo darvāza khulā paate haiñ log
qadr-o-qīmat dard-e-dil kī ahl-e-dil se pūchhiye
dard ko darmān-e-dard-e-lā-davā paate haiñ log
jauhar-e-zātī mohabbat zabt hai us kā shi.ār
husn-e-ḳhud-bīñ ko azal se ḳhud-numā paate haiñ log
ḳhāna-e-dil to mohabbat meñ rahā bāġh-o-bahār
aur ghar hoñge jinheñ vahshat-sarā paate haiñ log
dast-e-aqdas se jo haath aa.e ġhanīmat jāniye
bad-duā ko bhī buzurgoñ kī duā paate haiñ log
bhaa.ī ko kar de judā bhaa.ī se roTī kyā ajab
khāne meñ ḳhud apne hoñToñ ko judā paate haiñ log
us kā lutf-e-ḳhās jo ye istitā.at hai nasīb
bār-e-ġham juz ibn-e-ādam kyā uThā paate haiñ log
chāñdnī rātoñ meñ mauj-e-āb-e-jū ke saath saath
'māhir'-e-ḳhush-gu ko bhī naġhma-sarā paate haiñ log