lab-e-nāzuk pe jab hañsī aa.ī
aag har-sū bikhertī aa.ī
jaane kyā baiThe baiThe yaad aayā
ruḳh-e-āshiq pe tāzgī aa.ī
shām-e-ġham dard-e-dil baḌhāne ko
chāñd ke saath chāñdnī aa.ī
aa ga.e yaad ġham zamāne ke
kabhī bhūle se jo hañsī aa.ī
ban ga.ī jaan par mohabbat meñ
dostī ban ke dushmanī aa.ī
lazzat-e-zulm ke haiñ sab maddāh
raas un ko sitamgarī aa.ī
aañkh laḌte hī mach ga.ī halchal
baat sunñe meñ to yahī aa.ī
jaane kyuuñ dekh kar tujhe saaqī
aaj phir yād-e-mai-kashī aa.ī
'māhir' aayā jo zikr-e-hubb-e-vatan
yād-e-'chakbast'-lakhnavī aa.ī