yahī nahīñ ki faqat pyaar karne aa.e haiñ
ham ek umr kā tāvān bharne aa.e haiñ
vo ek rañg mukammal ho jis se terā vajūd
vo rañg ham tire ḳhāke meñ bharne aa.e haiñ
ThiThur na jaa.eñ ham is ijz kī bulandī par
ham apnī sat.h se nīche utarne aa.e haiñ
ye buuñd ḳhuun kī lauh-e-kitāb-e-ruḳh ke liye
ye til sar-e-lab-o-ruḳhsār dharne aa.e haiñ
lagā rahe haiñ abhī ḳheme ġham kī vaadī meñ
ham is pahāḌ se dāman ko bharne aa.e haiñ
tire laboñ ko milī hai shaguftagī gul kī
hamārī aañkh ke hisse meñ jharne aa.e haiñ
'nisār' band-e-qabā kholnā muhāl na thā
so ham jamāl-e-qabā band karne aa.e haiñ