Raees Faraz

itne chehre hain sabhi par pyar raushan hai

Raees Faraz

itne chehre haiñ sabhī par pyaar raushan hai

kyā ḳhabar chehroñ ke pīchhe kaun dushman hai

duur tak pahuñchā ke ham apnī sadā ḳhush haiñ

varna samjheñ to ye apnā khokhlā-pan hai

log tinke adh-jale cigarette ke TukḌe

apnī duniyā raakh aur tinkoñ bartan hai

kar rakhe the band us par maiñ ne darvāze

ghar meñ ab kitnī ghuTan hai kitnī sīlan hai

khīñch kar alfāz ko laatā to huuñ lekin

aaj ke safhāt par phislan phislan hai

tum bhī apnī pusht par ik poster rakh lo

āj-kal sunte haiñ kuchh aisā fashion hai

Top Urdushayar.com