Raees Faraz

tum kah rahe ho nile KHala mein rangon ka jal phaila hai

Raees Faraz

tum kah rahe ho niile ḳhalā meñ rañgoñ kā jaal phailā hai
maiñ pūchhtā huuñ rañgoñ ke paar paanī kā rañg kaisā hai
mujrim hai dil ki ma.amūlī āhaToñ par bhī chauñk uThtā hai
kamre meñ varna koī nahīñ ye pāgal havā kā jhoñkā hai
maiñ saḳht rāstoñ par chalā huuñ mere nishāñ na DhūñDo tum
patthar pe ḳhud hī chal kar batāo kyā koī naqsh bantā hai
kitne shagufta chehroñ meñ log ḳhud ko chhupā.e phirte haiñ
par kyā batā.ūñ chehroñ ke paar mujh ko dikhā.ī detā hai
tum aaj saarī samtoñ meñ barf se merā naam likhte ho
tum jānte ho mausam ke saath is barf ko pighalnā hai
dhundlī udaas galiyoñ meñ log saa.e kī tarah chalte haiñ
manzar uThāo palkeñ sajāo sab kuchh to ḳhvāb jaisā hai
Top Urdushayar.com