ik hare ḳhat meñ koī baat purānī paḌhnā
kitnā mushkil hai kisī aañkh kā paanī paḌhnā
kuchh na kuchh sochnā bas sochnā yuuñ hī din bhar
aur phir raat meñ pariyoñ kī kahānī paḌhnā
ek hī chehre kī bauchhār hai qissa apnā
merī āñkhoñ se ise dushman-e-jānī paḌhnā
kuud jaanā tirī yādoñ ke samundar meñ phir
Dūbte Dūbte maujoñ kī ravānī paḌhnā
āḳhrī baar mujhe dekhnā jaate jaate
sūkhī āñkhoñ se mirā sail-e-ma.ānī paḌhnā
maiñ ne ik daur kā sāvan hai kiyā nazm yahāñ
tū kabhī aa ke mirī āñkhoñ kā paanī paḌhnā