mirā ye malba mirā ḳharāba tumhārī yādoñ se laḌ rahā hai
usī kī ta.amīr ho rahī hai vo ek ghar jo nahīñ bachā hai
paḌe hue haiñ jalī-bujhī cigaretoñ ke TukḌe har ik jagah par
aur ek chehra shagufta chehra tamām ghar meñ basā huā hai
lagā rahī hai mujhe sadā-e-havā darīche se laḌte laḌte
mirā ye kamra ḳhamosh kamra kisī kī aahaT se bhar gayā hai
kahīñ se saaye bhī aa ga.e haiñ mujhe sunāne kahānī apnī
koī fasāna bhī dhīre dhīre buland manzar se ho rahā hai
bulā rahīñ haiñ mujhe dobāra udāsiyoñ kī hasīn vaadī
kisī kī yādoñ kā sabz-mausam abhī bhī taaza banā huā hai
jo rañg-roġhan bikhar rahe haiñ tamām ghar meñ atā hai us kī
bas ek aamad se us kī vīrāñ khañDar sā ye ghar bhī jī uThā hai