kis ke sapnoñ se mirī niiñd sajī rahtī hai
jāgtā huuñ to in āñkhoñ meñ namī rahtī hai
DhūñDhtā rahtā huuñ be-sudh maiñ kisī māchis ko
ek cigarette mire hoñToñ se lagī rahtī hai
ek tasvīr salīqe se rakhī hai ghar meñ
baaqī har chiiz to bas yuuñ hī paḌī rahtī hai
aise aalam meñ jahāñ koī nahīñ kahtā kuchh
ye sadāoñ kī fazā kaise banī rahtī hai
Dhaltā jaatā huuñ añdheroñ meñ maiñ rafta-rafta
chāñdnī duur kahīñ duur khaḌī rahtī hai
maiñ tire paas ḳhalāoñ meñ pahuñch jaatā huuñ
aur ik laash kahīñ ghar meñ paḌī rahtī hai