Dinesh naaidu

Dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe

Dinesh naaidu

Darā rahe haiñ ye manzar bhī ab to ghar ke mujhe
dikhā.ī ḳhvāb diye raat bhar khañDar ke mujhe
har ik ġhazal meñ maiñ rozāna chāñd Tāñktā huuñ
sitāre chūmte haiñ shab utar utar ke mujhe
gañvā dī umr use nazm kar nahīñ paayā
salīqe aate haiñ vaise to har hunar ke mujhe
is ek shauq ne mujh ko miTā diyā yaaro
bas ek baar kabhī dekhnā thā mar ke mujhe
kināre baiTh ke kartā huuñ nazm ashkoñ ko
nadī sunātī hai afsāne chashm-e-tar ke mujhe
maiñ ik adhūrī sī tasvīr thā udāsī kī
kiyā hai us ne mukammal tabāh kar ke mujhe
Top Urdushayar.com