chaak par miTTī ko mar jaanā hai
ḳhvāb-e-ta.amīr bikhar jaanā hai
ham ko us dasht meñ jaanā hogā
vahshatoñ kā yahī harjānā hai
sāhibo ham haiñ usī saf ke log
jin se sahrā ko sañvar jaanā hai
sāmne hashr kī had hai sāhab
ab hameñ lauT ke ghar jaanā hai
qabr-gāh haiñ sadāoñ kī yahāñ
bas yahīñ ham ko bhī mar jaanā hai
tum ko khone kā tumheñ paane kā
ham ne har qism kā Dar jaanā hai
koī bhī raah nahīñ hai us tak
ham ko ma.alūm hai par jaanā hai
lo nazar aane lagā us kā hashr
qāfile vaalo Thahar jaanā hai
kis liye tairnā ashkoñ meñ sadā
ab tah-e-dīda-e-tar jaanā hai
vo 'dinesh' us kī galī hai aage
dekh lo tum ko kidhar jaanā hai