mujh meñ ābād sarāboñ kā ilāqa karne
phir chalī aa.ī tirī yaad ujālā karne
din mirā phir bhī kisī taur guzar jā.egā
raat aa.egī udāsī ko kushāda karne
aur be-vaqt chalā aatā hai sāvan mujh meñ
ek guzre hue mausam kā taqāzā karne
maiñ ne jalte hue sahrā meñ tirā naam liyā
sā.ebāñ ḳhud hī chalā aaya hai saaya karne
kaisā laavā hai tah-e-āb yahāñ āñkhoñ meñ
kaun aaya hai samundar ko jazīra karne