sarishk-e-ġham kī ravānī thamī hai mushkil se
jo baat kahnī thī un se kahī hai mushkil se
na jaane ahl-e-junūñ par ab aur kyā guzre
abhī to fasl-e-bahārāñ kaTī hai mushkil se
shab-e-firāq na pūchho ki kis tarah guzrī
sahar huī to hai lekin huī hai mushkil se
lagā huā hai ye dhaḌkā ki bujh na jaa.e kahīñ
havā meñ sham-e-mohabbat jalī hai mushkil se
kahāñ thī manzil-e-maqsūd apnī qismat meñ
kisī kī rāhguzar bhī milī hai mushkil se