bahār aa.egī gulshan meñ to dār-o-gīr bhī hogī
jahāñ ahl-e-junūñ hoñge vahāñ zanjīr bhī hogī
isī ummīd par ham gāmzan haiñ rāh-e-manzil meñ
yahāñ zulmat sahī aage kahīñ tanvīr bhī hogī
agar rahnā hai gulshan meñ to apne āshiyāne kī
kabhī taḳhrīb bhī hogī kabhī ta.amīr bhī hogī
yahī to soch kar ham un kī mahfil se chale aa.e
hamārī ḳhāmushī kī kuchh na kuchh tafsīr bhī hogī
ye ham bhī jānte haiñ zindagī ik ḳhvāb hai 'afsar'
magar is ḳhvāb kī āḳhir koī ta.abīr bhī hogī