ġham-e-hayāt ke pesh-o-aqab nahīñ paḌhtā
ye daur vo hai jo sher-o-adab nahīñ paḌhtā
koī to baat hai rūdād-e-ḳhūn-e-nāhaq meñ
kahīñ kahīñ se vo paḌhtā hai sab nahīñ paḌhtā
kisī kā chehra-e-tābāñ ki māh-e-raḳhshandā
jo paḌhne vaalā hai qur.āñ vo kab nahīñ paḌhtā
vo kaun hai jo tujhe raat din nahīñ likhtā
vo kaun hai jo tujhe roz-o-shab nahīñ paḌhtā
vo ab to is qadar iz.hār-e-haq se Dartā hai
agar likhā ho kahīñ lab to lab nahīñ paḌhtā
na jaane in dinoñ kyā ho gayā hai saaqī ko
nigāh-e-rind meñ husn-e-talab nahīñ paḌhtā
usī kā rañg hai 'afsar' usī kī ḳhushbū hai
mirā kalām koī be-sabab nahīñ paḌhtā