vo hamārī samt apnā ruḳh badaltā kyuuñ nahīñ
raat to guzrī magar sūraj nikaltā kyuuñ nahīñ
Thiik uThte haiñ qadam bhī raah bhī hamvār hai
bojh apnī zindagī kā phir sambhaltā kyuuñ nahīñ
jis tarah vo chāhtā hai Dhaal letā hai hameñ
vo hamāre dil ke paimāne meñ Dhaltā kyuuñ nahīñ
kyā mohabbat meñ kabhī hotī hai aisī kaifiyat
vo qarīb-e-jāñ hai lekin dil bahaltā kyuuñ nahīñ
aadmī ke dil kā jauhar yuuñ to īmāñ hai magar
āj-kal bāzār meñ sikka ye chaltā kyuuñ nahīñ
jaane kaisī haiñ ye zanjīreñ hamāre paañv meñ
garmī-e-raftār se lohā pighaltā kyuuñ nahīñ
is ma.āl-e-shauq par sab haath malte haiñ magar
tū kabhī 'afsar' kaf-e-afsos maltā kyuuñ nahīñ