shab ko pāzeb kī jhankār sī aa jaatī hai
biich meñ phir koī dīvār sī aa jaatī hai
in kā andāz-e-nazar dekh ke mahfil meñ kabhī
mujh meñ bhī jur.at-e-iz.hār sī aa jaatī hai
is adā se kabhī chaltī hai nasīm-e-saharī
ḳhushk pattoñ meñ bhī raftār sī aa jaatī hai
ham to us vaqt samajhte haiñ ki aatī hai bahār
dasht se jab koī jhankār sī aa jaatī hai