mere liye sāhil kā nazārā bhī bahut hai
girdāb meñ tinke kā sahārā bhī bahut hai
dam-sāz milā koī na sahrā-e-junūñ meñ
DhūñDā bhī bahut ham ne pukārā bhī bahut hai
apnī ravish-e-lutf pe kuchh vo bhī musir haiñ
kuchh talḳhī-e-ġham ham ko gavārā bhī bahut hai
anjām-e-vafā dekh leñ kuchh aur bhī jī ke
sunte haiñ ḳhayāl un ko hamārā bhī bahut hai
kuchh raas bhī aatī nahīñ 'afsar' ko masarrat
kuchh ye ki vo hālāt kā maarā bhī bahut hai