kyā batā.eñ hāl-e-dil un kī shanāsā.ī ke ba.ad
habs baḌhtā hī chalā jaatā hai purvā.ī ke ba.ad
ek muddat par ḳhayāl un kā kahāñ se aa gayā
kitnī achchhī anjuman lagtī hai tanhā.ī ke ba.ad
jab nazar aayā na sāhil un kī chashm-e-nāz meñ
kyā dikhā.ī degā vo dariyā kī gahrā.ī ke ba.ad
dar-ba-dar kī Thokareñ khā.īñ mohabbat meñ to kyā
ho ga.e ham mohtaram kuchh aur rusvā.ī ke ba.ad
ham kahāñ hoñge na jaane is tamāshā-gāh meñ
kis tamāshā.ī se pahle kis tamāshā.ī ke ba.ad
un ke baare meñ faqat itnā hameñ ma.alūm hai
ab vo rahte haiñ hamāre dil kī añgnā.ī ke ba.ad
ḳhuub hai 'afsar' hameñ apnī haqīqat kī ḳhabar
kyā hamārā nāla-e-dil un kī shahnā.ī ke ba.ad