Jameel Qureshi

daraaz-dast ko dast-e-ata kahin na mila

Jameel Qureshi

darāz-dast ko dast-e-atā kahīñ na milā
baḳhīl-e-shahr thā hājat-ravā kahīñ na milā
fasīl-e-shab pe sahar kā diyā jalātā kaun
ki koī shaḳhs mujhe jāgtā kahīñ na milā
lahū kī aag thī raushan har ik hathelī par
kisī bhī haath pe rañg-e-hinā kahīñ na milā
girā ḳhud apnī nazar se to pūchhtā phir kaun
ḳhudī gañvā.ī to mujh ko ḳhudā kahīñ na milā
sabhī the apne ḳhudāoñ se bad-gumāñ shāyad
kisī zabān pe harf-e-duā kahīñ na milā
Top Urdushayar.com