Inaam azmi

kabhi to chashm-e-falak mein haya dikhai de

Inaam azmi

Bihar, India

1997
kabhī to chashm-e-falak meñ hayā dikhā.ī de
ki dhuup sar se haTe aur ghaTā dikhā.ī de
maiñ iqtibās-e-aziyyat huuñ lauh-e-duniyā par
so mujh meñ ġham ke sivā aur kyā dikhā.ī
maiñ chāhtā huuñ ki mere liye mire maulā
lab-e-adū pe bhī harf-e-duā dikhā.ī de
charāġh ban ke sadā is liye jale ham log
hamārī zid thī ki ham ko havā dikhā.ī de
kabhī to sehn-e-gulistāñ se ho ḳhizāñ ruḳhsat
kabhī to peḌ pe pattā harā dikhā.ī de
hisār-e-zāt se maiñ is liye nikaltā nahīñ
ki chashm-e-tar ko mirī kaun kyā dikhā.ī de
zamāne ba.ad lagā ḳhud ko dekh kar aisā
ki jaise ḳhvāb meñ ik gum-shuda dikhā.ī de
Top Urdushayar.com