Inaam azmi

kaun hai mera KHaridar nahin dekhta main

Inaam azmi

Bihar, India

1997
kaun hai merā ḳharīdār nahīñ dekhtā maiñ
dhuup meñ sāya-e-dīvār nahīñ dekhtā maiñ
ḳhvāb palkoñ pe chale aate haiñ aañsū ban kar
is liye tujh ko lagātār nahīñ dekhtā maiñ
terā is baar mujhe dekhnā bantā hai dost
itnī ummīd se har baar nahīñ dekhtā maiñ
kab talak tujh ko yūñhī dekhte rahnā hogā
zindagī jā tujhe is baar nahīñ dekhtā maiñ
vo koī aur haiñ jo hasb-o-nasab dekhte haiñ
maiñ mohabbat huuñ mire yaar nahīñ dekhtā maiñ
haa.e vo log jo bas dekhte rahte haiñ mujhe
jin kī jānib kabhī ik baar nahīñ dekhtā maiñ
ġhaar se niklī huī raushnī pursa to kar
aa mujhe dekh huuñ bīmār nahīñ dekhtā maiñ
Top Urdushayar.com