jis taraf dekhiye bāzār udāsī kā hai
shahr meñ kaun ḳharīdār udāsī kā hai
ab to āñkhoñ meñ bhī aañsū nahīñ aate mere
ye alag ruup mire yaar udāsī kā hai
ruuh bechārī pareshāñ hai kahāñ jaa.e ab
is qadar jism pe ab baar udāsī kā hai
apne hone kā gumāñ tak nahīñ hotā mujh ko
jaane ye kaun sā me.aar udāsī kā hai
ab ye ehsās hamesha mujhe hotā hai dost
mujh meñ ik shaḳhs talabgār udāsī kā hai
aa.ina dekh ke ma.alūm huā hai mujh ko
zaḳhm chehre pe bhī is baar udāsī kā hai
ye udāsī mujhe tanhā nahīñ rahne detī
haañ tire ba.ad ye upkār udāsī kā hai