tasavvurāt meñ vo zoom kar rahā thā mujhe
bahut shadīd tavajjoh kā sāmnā thā mujhe
chamak rahā thā maiñ sūraj ke misl is liye dost
kahīñ pe jā ke añdhere meñ Dūbnā thā mujhe
mujhe vahāñ se udāsī bulā rahī thī aaj
jahāñ se shām-o-sahar koī dekhtā thā mujhe
phir us ko jā ke batānā paḌā ġhalat hai ye
samajhne vaale ne kyā kyā samajh rakhā thā mujhe
guzar na paayā thā jo 'jaun-elia' se bhī
tumhāre ba.ad vo lamha guzārnā thā mujhe
lahūluhān hue jā rahe the har manzar
kisī ne vaqt ke māthe pe yuuñ likhā thā mujhe
maiñ apnī niiñd agar TūTne nahīñ detā
us ek ḳhvāb se har vaqt TūTnā thā mujhe