judā ho kar samundar se kinārā kyā banegā
nahīñ sochā hai ab tak vo hamārā kyā banegā
mujhe ye ek arse se zamīñ samjhā rahī hai
falak se TuuT kar merā sitārā kyā banegā
maiñ aisā lafz huuñ jis kā koī matlab nahīñ hai
ḳhudā hī jaane merā isti.ārā kyā banegā
musavvir is liye tum ko banānā chāhtā hai
use ma.alūm hai tum bin nazārā kyā banegā
havā se dostī kar lī hai mere nā-ḳhudā ne
mirī kashtī kā dariyā meñ sahārā kyā banegā
tumhārā faisla manzūr hai lekin batāo
bichhaḌ ke mujh se mustaqbil tumhārā kyā banegā
ḳhudā-e-bahr-o-bar tū ne jo phir duniyā banā.ī
hamārī ḳhaak se is meñ dobārā kyā banegā