sochtā huuñ sadā maiñ zamīñ par agar kuchh kabhī bāñTtā
to añdheroñ ke nazdīk jaatā unheñ raushnī bāñTtā
tere hote hue ham tujhe DhūñDte phir rahe the aziiz
kaash tū har ghaḌī har jagah ham se maujūdgī bāñTtā
ḳhāliqā mujh ko mālūm hotā agar āḳhirī moḌ hai
maiñ bichhaḌte hue saare kirdār ko zindagī bāñTtā
vaqt ne beḌiyāñ Daal rakkhī thiiñ paañv meñ varna to maiñ
shahr kī saarī galiyoñ ko har vaqt āvārgī bāñTtā
mere bhaa.ī agar darmiyāñ apne dīvār uThtī nahīñ
terā dukh bāñTtā aur tujh se maiñ apnī ḳhushī bāñTtā
mujh ko kamre kī dīvār khiḌkī calender samajhte the bas
aur koī nahīñ jin se maiñ apnī afsurdagī bāñTtā
jo aziyyat ke ḳhāne meñ ab rakh rahe haiñ mohabbat ko kaash
ishq hone se pahle unheñ 'mīr' kī shā.irī bāñTtā