dar jo kholā hai kabhī us se shanāsā.ī kā
ek manzar nazar aayā mujhe tanhā.ī kā
apnī āñkheñ na sajānā kisī darvāze par
chashm-e-hairāñ ko bharosa nahīñ bīnā.ī kā
zaḳhm-ārā.ī meñ sab zaḳhm purāne the magar
zaḳhm taaza hī rahā us kī shanāsā.ī kā
arsa-e-hijr se phir vasl kī sarshārī tak
hausla dil ko bahut chāhiye paspā.ī kā