ik ek lafz meñ ka.ī pahlū kahāñ se aa.e
jānāñ tire suḳhan meñ ye jaadū kahāñ se aa.e
jab tīrgī meñ chāñd sitāre bhī gum hue
palkoñ ke shāmiyāne meñ jugnū kahāñ se aa.e
suljhā rahā thā pech-o-ḳham-e-zindagī magar
hāthoñ meñ yak-ba-yak tire gesū kahāñ se aa.e
shikva nahīñ hai tujh se ki is rahguzār meñ
saa.e na saath aa.e to phir tū kahāñ se aa.e
uljhan tamām umr yahī thī ki ziist meñ
aa.e kahāñ se rañg ki ḳhushbū kahāñ se aa.e
sahrā kī tarah ḳhushk thī phir us ke lams se
be-iḳhtiyār aañkh meñ aañsū kahāñ se aa.e