ek to duniyā kā kārobār hai
ishq kā us par alag āzār hai
kaun is jā sāhab-e-kirdār hai
har koī bas ġhāzī-e-guftār hai
subah tak uThtī rahī āh-o-fuġhāñ
kaun mujh meñ shaam se bedār hai
ahl-e-dil aa.e yahāñ tāḳhīr se
ab kahāñ vo garmī-e-bāzār hai
shor meñ Duubā huā hai ghar tamām
aur sannāTā pas-e-dīvār hai
maiñ huā be-lutf us ke qurb se
vo bhī merī shakl se bezār hai
saare dushman ho ga.e zer-e-nagīñ
ḳhud se ab vo bar-sar-e-paikār hai
har qadam par laḌkhaḌātā huuñ 'salīm'
rāsta shāyad bahut hamvār hai