ye ḳhayāl ab to dil-āzār hamāre liye hai
āḳhir-e-shab koī be-dār hamāre liye hai
ham ajab dekh ke sarshār hue jaate haiñ
jaise ye garmī-e-bāzār hamāre liye hai
ḳhāna-e-zīst meñ rahtā hai ujālā shab bhar
koī raushan sar-e-dīvār hamāre liye hai
ḳhatm hone ko nahīñ saḳhtī-e-ālām-e-safar
raah meñ phir koī kohsār hamāre liye hai
DhūñDte rahte haiñ ashjār mah-o-sāl meñ ham
kyā koī shāḳh-e-samar-dār hamāre liye hai
ab khulā us badan-e-gul pe hai mausam kā asar
ham samajhte the vo bīmār hamāre liye hai
koī to abr kī mānind masāfat meñ 'salīm'
dhuup se bar-sar-e-paikār hamāre liye hai