fasl-e-junūñ meñ dāman-o-dil chaak bhī nahīñ
kyā dasht hai ki uḌtī kahīñ ḳhaak bhī nahīñ
jiinā tirā muhāl to honā hī thā ki tū
is daur ke hisāb se chālāk bhī nahīñ
raqs-e-junūñ to ḳhair baḌī baat hai magar
ab shahar meñ numā.ish-e-idrāk bhī nahīñ
achchhā huā ki jald hī tū ne utaar dī
jachtī hai sab pe dard kī poshāk bhī nahīñ
dariyā kujā ki tishna-laboñ ke liye to ab
raste meñ koī dīda-e-namnāk bhī nahīñ
vo din bhī the ki aañkh bichhāte the barg-o-gul
ab mujh pe multafit ḳhas-o-ḳhāshāk bhī nahīñ
dhul jaa.eñ jis ke lams se dil kī kasāfateñ
bāñhoñ meñ vo tirā badan-e-pāk bhī nahīñ
kyuuñ sogvār ab bhī hai marg-e-zamīr par
vo vāqi.a thā utnā alamnāk bhī nahīñ
ik umr se kināra-e-be-chāragī pe huuñ
dariyā chaḌhā hai aur maiñ tairāk bhī nahīñ
kyuuñ ḳhushk ho gayā shajr-e-ārzū 'salīm'
mausam thā jabki ziist kā saffāk bhī nahīñ