Saleem Faraz

har-chand mera shauq-e-safar yun na rahega

Saleem Faraz

har-chand mirā shauq-e-safar yuuñ na rahegā
kyā ḳhaar sar-e-rāhguzar yuuñ na rahegā
mumkin hai tirī yaad sulagtī rahe tā-umr
ye sho.ala sharar-bār magar yuuñ na rahegā
is dhuup meñ merī bhī jhulas jā.eñgī āñkheñ
terā bhī ruḳh-e-ġhuncha-e-tar yuuñ na rahegā
mauqa hai gul-o-barg sajā lo sar-e-mizhgāñ
har fasl meñ sarsabz shajar yuuñ na rahegā
kuchh sher raqam karte chalo lauh-e-junūñ par
har daur meñ ye kār-e-hunar yuuñ na rahegā
kuchh log mire ba.ad bhī rah jā.eñge lekin
sahrā meñ koī ḳhāk-ba-sar yuuñ na rahegā
ḳhush aa.e 'salīm' aaj use merī asīrī
kal tak magar afsūñ kā asar yuuñ na rahegā
Top Urdushayar.com