Saleem Faraz

kya lutf hawaon ke safar mein nahin rakkha

Saleem Faraz

kyā lutf havāoñ ke safar meñ nahīñ rakkhā
yā jazba-e-parvāz hī par meñ nahīñ rakkhā
nanhā sā diyā bhī shab-e-tīra meñ bahut hai
saudā kisī ḳhurshīd kā sar meñ nahīñ rakkhā
bujh jā.eñge ḳhvāboñ ke charāġh āb-e-ravāñ se
is Dar se unheñ dīda-e-tar meñ nahīñ rakkhā
shāyad dar-o-dīvār bhī pahchān na paa.eñ
barsoñ se qadam apne hī ghar meñ nahīñ rakkhā
har roz koī taḳhta magar TuuT rahā hai
har-chand ki kashtī ko bhañvar meñ nahīñ rakkhā
sūraj to parāyā thā parāyā hī rahā vo
kyuuñ tum ne shajar rāh-e-guzar meñ nahīñ rakkhā
takmīl ke paikar meñ jise DhūñDh rahe haiñ
ḳhāka bhī 'salīm' is kā nazar meñ nahīñ rakkhā
Top Urdushayar.com