Saleem Faraz

har-chand tere gham ka sahaara bhi nahin hai

Saleem Faraz

har-chand tire ġham kā sahārā bhī nahīñ hai
jiine ke alāva koī chāra bhī nahīñ hai
har roz kiye jaatī hai ye ziist taqāze
kyā qarz thā jo ham ne utārā bhī nahīñ hai
pahle to ye maujeñ bhī himāyat meñ khaḌī thiiñ
ab merā madad-gār kināra bhī nahīñ hai
jaatā bhī nahīñ chhoḌ ke vo mujh ko akelā
aur saath mirā us ko gavāra bhī nahīñ hai
kuchh apne muqaddar ko bigāḌā bhī hamīñ ne
kuchh apne muāfiq ye sitāra bhī nahīñ hai
hotī thī jise dekh ke sarshār tabī.at
āñkhoñ meñ vo sarsabz nazāra bhī nahīñ hai
ye baat alag jiit ke āsār nahīñ haiñ
is mārka-e-jāñ ko vo haarā bhī nahīñ hai
har koī 'salīm' us kā muḳhālif hai jahāñ meñ
aur koī ḳhilāf us ke saf-ārā bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com