Saleem Faraz

kam ranj mausam-e-gul-e-tar ne nahin diya

Saleem Faraz

kam rañj mausam-e-gul-e-tar ne nahīñ diyā
dil ke kisī bhī zaḳhm ko bharne nahīñ diyā
saare hī mustafīz hue us kī zaat se
ham ko hī ek phal bhī shajar ne nahīñ diyā
murjhā ga.ī hai talḳhī-e-hālāt se magar
kam hai ki ham ne yaad ko marne nahīñ diyā
jaltā charāġh-e-dil shab-e-hijrāñ meñ der tak
mauqa.a magar numūd-e-sahar ne nahīñ diyā
maḳhsūs thī bas us ke liye dil kī guzar
ham ne kisī ko yaañ se guzarne nahīñ diyā
ham par zamīñ kā ek sitāra hai multafit
ruḳh par ye nuur shams-o-qamar ne nahīñ diyā
kuchh to charāġh-e-zīst kī lau bhī thī nā-tavāñ
aur kuchh havā ne us ko ubharne nahīñ diyā
ham bhī the zindagī se gurezāñ tamām raah
shāne pe haath is ne bhī dharne nahīñ diyā
Top Urdushayar.com